Thursday, 20 February 2014

Sukh Mein To Sab Apne bante
Dukh Mein Saat na detaa koi
ab naa aaye aise rishte
tere sharan mein aaya sai

Sahi sanehi rut jaaye agar
uski to chinta nahin
magar mere ye Sai Baaba 
Mujhse kabhi rut na nahin
mujhse kabhi rut na nahin
rut na nahin

Aaya Akela Jaana Akela
kisse jodun naatha
janam janam ka tu hi saathi
tera sahara daathaa
ek tera sahara daathaa
jooti kaaya jooti maaya
Ab in mein bandhuna nahin
magar mere ye sai baabaa mujhse kabhi rut na nahin
mujhse kahin rut na nahin rut na nahin

ye jag soona tere kripa bin charunon mein kitna sukh hai diya
jeevan dhaan diyaa hai tune ye kitna upkaar kiya
ye kitna upkaar kiya
bhool bina bhi koi sazaa de, bhool bina bhi koi sazaa de
ranja mujhe ab karna nahin
magar mere ye sai baabaa mujhse kahin rut na nahin
mujhse kabhi rut na nahin, rut na nahin

No comments:

Post a Comment